Skip to main content

Torr Dalen Qalam To Behtar Hai

Torr Dalen Qalam To Behtar Hai
Na Likhen Raaz e Ghum To Behtar Hai
Yun Bhi hum Ko Na Choregi Dunya
Ap Karlen Sitam To Behtar Hai
Kufar hai Hum Unhe Chahen
Log Poje Sanam To Behtar Hai
Ishq Marta To Kam Hi Lekin
Ishq Maare Bhi Kam To Behtar Hai
Daad Milti Hai Wo Sune Na Sune
Aake Zair o Bam To Behtar Hai
Na Karo Tauba Dil Dukhane Se
Ab Na Tote Qasam To Behtar Hai
Dil Ka Qissa Wohi Qadeemi Hai
Na Suno Mohtram To Behtar Hai
Torr Dalen Qalam To Behtar Hai
Na Likhen Raaz e Ghum To Behtar Hai

Comments

Popular posts from this blog

Aansu

ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !!

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa

mohubbat