Skip to main content

aankh jo aaj phir teri nam hai


aankh jo aaj phir teri nam hai
ye main hoon ya koi naya ghum hai
zakham ab tak hain kyun haray tere
tum to kehte the waqat marham hai
umar thori hai is musafat ko
fasla do qadam se go kam hai
bad muddat pata laga tum the
main to samjha k jo gaya daam hai
tum jo hote to phir dawa bante
ab yahan kon ibn e mariyam hai
meherban thi hayat tere tak
bad tere wo mujh py bharham hai

Comments

Popular posts from this blog

Aansu

ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !!

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa

mohubbat