Skip to main content

Wo dard wo wafa wo muhabbat tamam shud

Wo dard wo wafa wo muhabbat tamam shud
Le dil mai tere qarb ki hasrat tamam shud

Ye baad mai khulega ke kis kis ka khon howa
Har ik beyan khatam adalat tamam shud

Tu ab to dushmani ke bhi qabil nahi raha
Uthti thi jo kabhi wo adawat tamam shud

Ab rabt ik naya mujhe awargi se hai
Pabandi e khayal ki adat tamam shud

Jayez thi ya nahi tere haq thi magar
Karta tha jo kabhi wo wakalat tamam shud

Wo roz roz marne ka qissa howa tamam
Wo roz dil ki cheerti wehshat tamam shud

Mohsin mai kunj o zeest mai chup hon para howa
Majno si wo khaslat o halat tamam shud

Comments

Popular posts from this blog

Aansu

ab key tajdeed e wafa ka nahin imkaan janaan !!

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan Yaad kya tujh ko dilaein tera peman janaan Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan Dil yeh kehta hai ke shaid ho afsurda tu bhi Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaa

mohubbat