Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2020
  RIP IRRFANKHAN

humsafar

haaye yuun chod kar mujhko phir jaana tera                                                                                                    aiese aane se accha tha na aana tera ..                                                                                                               सलीम                                            ...

Haye Pocho Na Tasawwar Ke Maze

Haye Pocho Na Tasawwar Ke Maze Unko Pehlon Mai Liye Bethe Hain

Kaash Aisi Bhi Koi Khobsorat Raat Ho

Kaash Aisi Bhi Koi Khobsorat Raat Ho Chand Aasman Par Ho Or Tu Mere Sath Ho

Khamosh lab hain jhuki hain palken

Khamosh lab hain jhuki hain palken Dilon mai ulfat nayi nayi hai Abhi takaluf hai guftugu mai Abhi muhabbat nayi nayi hai Abhi na ayegi neend tum ko Abhi na hum ko sukoon milega Abhi to dharke ga dil zyada Abhi ye chahat nayi nayi hai Bahaar ka aaj pehla din hai Chalo chaman mai tehel ke ayen Fiza mai khushbo nayi nayi hai Gulon mai rangat nayi nayi hai Jo khandani raees hain wo Mizaaj rakhte hain narm apna Tumhara lehja bata raha hai Tumhari dolat nayi nayi hai Zara sa qudrat ne kya nawaza Ke aake bethe ho pehli saff mai Abhi se urhne lage hawa mai Abhi to shohrat nayi nayi hai

Dekha Jo Tera Aks Jab Apne Wajood Mai

Dekha Jo Tera Aks Jab Apne Wajood Mai           Aisa Mai Khud Ko Acha Laga Ke Bas

Kyun Itna dard dete Ho

Kyun Itna dard dete Ho Kyun Yun Din Bhar Satate ho Palat Hum Na Ayenge Na Phir Tum Ko Satayenge Hamare Baad Jo Wo Pal Tumhe Jab Yaad Ayenge Bohat Tumko Rulayenge Satayenge Jagayenge Abhi Shehar e Muhabbat Mai Mera Koi nahi Jaana Meri Dunya Mai Ajao Kahin Rooh Mai Sama Jao Tumhari Yaad Mai Jalti Hon Kyun Itna Rulate Ho Teri Chokhat Pe Aye Hain Tumhe Paa Kar Hi Jayenge Agar Kuch Ranjishen Hongi Hum Unko Bhi Mitayenge Abhi TumKo bulate Hain Tumhi Pe Haq jatate Hain Mere Is Pyar Ko jaana Bolo Kaise Bhulaogay Duayen Jab Bhi Mangi Hain Khuda Se Tumko Manga Hai Agar Tum Na Howe Mere To Phir Hum Jee Na Payenge Palat Hum Na Ayenge Na Phir Tum Ko Satayenge Na Phir Tumko Jagayenge Na Phir Tumko Manayenge Kyun Itna Dard Dete Ho Kyun Itna Dard Dete Ho
    Bahot kuch khoya hai tujhe paa kar     ab tujhse door jana chahta hoon,       udas hoon mai sadiyon se     main ab muskurana chahta hoon.. (saleem shaikh).

Ek Baat Kahon Agar Sunte Ho

Ek Baat Kahon Agar Sunte Ho Tum Mujhko Achhe Lagte Ho Kuch Chanchal Se Kuch Chup Chup Se Kuch Pagal Pagal Lagte Ho Hain Chahne Wale Aur Bahut Par Tum Mein Hai Ek Baat Bahut Tum Apne Apne Lagte Ho Ek Baat Kahun Agar Sunte Ho Tum Mujhko Achhe Lagte Ho Ye Baat Baat Pe Kho Jana Kuch Kehte Kehte Ruk Jaana Ye Kis Uljhan Mein Rehte Ho Kya Baat Hai Hum Se Keh Dalo Ek Baat Kahoon Agar Sunte Ho Tum Mujhko Ache Lagte Ho

Din Raat Ke Aane Jaane Mein

Din Raat Ke Aane Jaane Mein Duniya Ke Ajayab Khane Mein Kabhi Sheeshe Dhundle Hote Hai Kabhi Manzar Saaf Hote Hai Kabhi Surat Baat Nahi Karta Kabhi Taare Aankh Badalte Hai Kabhi Manzil Pichhe Rehti Hai Kabhi Aasein Tod Nai Chadtein Kabhi Khushi Puri Hoti Hai Kabhi Aankhein Dekh Nahi Sakti Kabhi Khawab Adhure Hote Hai Ye Sab To Sahi Hai Lekin Aashob Ke Manzar Khane Mein Duniya Kya Ajayab Khane Mein, Kuch Saya Karti Aankho Ke PaiMan To Dikhayi Dete Hai Hathon Se Agarche Door Sahi IMkaan To Dikhayi Dete Hai Haan Ret Ke Us Darya Ke Paar Ek Pairon Wali Basti Ke Unwaan To Dikhayi Dete Hai Manzil Se Koson Door Sahi Pur Dard Sahi Ranjoor Sahi ZakhMose Musafir Choor Sahi Par Kisse Kahein Ye Jaan-E-Wafa Kuch Aise Ghaav Bhi Htoe Ahi Jinhe ZakhMi Aap Nahi Dhote Bin Roye Hue Aansu Ki Tarah Seene Mein Chupa Kar Rakhte Hai Aur Saari UMr Nai Rote Neendein Bhi Muhaya Hoti Hai, Sapne Bhi Door Nahi Hote Ab Kisse Kahein Aye Jaan-E-Wafa Ye Ahel-E-Wafa Kis Aag Mein Jalte Reht...

Ku Ba Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki

Ku Ba Ku Phail Gai Baat Shanasai Ki Us Ne Khushbu Ki Tarah Meri Pazirai Ki Kaise Keh Dun K Mujhe Chor Diya Hai Us Ne Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki Wo Kahin Bhi Gaya Lauta To Mere Pas Aaya Bass Yahi Baat Hai Achi Mere Harjai Ki Tera Pehlu Tere Dil Ki Tarah Abaad Rahe Tujh Pe Guzre Na Qayamat Shab-E-Tanhai Ki Us Ne Jalti Hui Peshani Pe Jo Hath Rakha Rooh Tak Aa Gai Taasir Masihai Ki

Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga

   Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga Zindagi Ab Ke Mera Naam Na Shamil Karna Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khail Dobara Hoga Jis Ke Hone Se Meri Sasns Chala Karti Thi Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga Ye Achanak Jo Ujaala Sa Huwa Jata Hai Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga Ishq Karna Hai To Din Raat Usay Sochna Hai Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga Ye Jo Pani Main Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sunnaton Mai Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhunga Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI Usne Seenay Main Koi Dard Utara Ho Ga Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga